(1) Surat No 2 : سورة البقرة - Ayat No 34
وَ اِذۡ قُلۡنَا لِلۡمَلٰٓئِکَۃِ اسۡجُدُوۡا لِاٰدَمَ فَسَجَدُوۡۤا اِلَّاۤ اِبۡلِیۡسَ ؕ اَبٰی وَ اسۡتَکۡبَرَ ٭۫ وَ کَانَ مِنَ الۡکٰفِرِیۡنَ ﴿۳۴﴾
aur ( uss waqt ka tazkarah suno ) jab hum ney farishton say kaha kay : Adam ko sajda kero , chunacheh sabb ney sajda kiya , siwaye iblees kay kay uss ney inkar kiya , aur mutakabbirana ravaiyya ikhtiyar kiya aur kafiron mein shamil hogaya
(2) Surat No 2 : سورة البقرة - Ayat No 36
فَاَزَلَّہُمَا الشَّیۡطٰنُ عَنۡہَا فَاَخۡرَجَہُمَا مِمَّا کَانَا فِیۡہِ ۪ وَ قُلۡنَا اہۡبِطُوۡا بَعۡضُکُمۡ لِبَعۡضٍ عَدُوٌّ ۚ وَ لَکُمۡ فِی الۡاَرۡضِ مُسۡتَقَرٌّ وَّ مَتَاعٌ اِلٰی حِیۡنٍ ﴿۳۶﴾
phir huwa yeh kay shetan ney unn dono ko wahan say dagmaga diya , aur jiss ( aesh ) mein woh thay uss say unhen nikal ker raha aur hum ney ( Adam , unn ki biwi aur iblees say ) kaha : abb tum sabb yahan say utar jao , tum aik doosray kay dushman hogay , aur tumharay liye aik mauddat tak zameen mein thehrna aur kissi qadar faeeda uthana ( tey kerdiya gaya ) hai
(3) Surat No 7 : سورة الأعراف - Ayat No 11
وَ لَقَدۡ خَلَقۡنٰکُمۡ ثُمَّ صَوَّرۡنٰکُمۡ ثُمَّ قُلۡنَا لِلۡمَلٰٓئِکَۃِ اسۡجُدُوۡا لِاٰدَمَ ٭ۖ فَسَجَدُوۡۤا اِلَّاۤ اِبۡلِیۡسَ ؕ لَمۡ یَکُنۡ مِّنَ السّٰجِدِیۡنَ ﴿۱۱﴾
aur hum ney tumhen peda kiya , phir tumhari soorat banai , phir farishton say kaha kay : Adam ko sajda kero . chunacheh sabb ney sajda kiya , siwaye iblees kay . woh sajda kernay walon mein shamil naa huwa .
(4) Surat No 7 : سورة الأعراف - Ayat No 24
قَالَ اہۡبِطُوۡا بَعۡضُکُمۡ لِبَعۡضٍ عَدُوٌّ ۚ وَ لَکُمۡ فِی الۡاَرۡضِ مُسۡتَقَرٌّ وَّ مَتَاعٌ اِلٰی حِیۡنٍ ﴿۲۴﴾
Allah ney ( Adam , unn ki biwi aur iblees say ) farmaya : abb tum sabb yahan say utar jao , tum aik doosray kay dushman hogay , aur tumharay liye aik mauddat tak zameen mein thehrna aur kissi qadar faeeda uthana ( tey kerdiya gaya ) hai .
(5) Surat No 15 : سورة الحجر - Ayat No 31
اِلَّاۤ اِبۡلِیۡسَ ؕ اَبٰۤی اَنۡ یَّکُوۡنَ مَعَ السّٰجِدِیۡنَ ﴿۳۱﴾
siwaye iblees kay kay uss ney sajda kernay walon mein shamil honey say inkar kerdiya.
(6) Surat No 15 : سورة الحجر - Ayat No 32
قَالَ یٰۤـاِبۡلِیۡسُ مَا لَکَ اَلَّا تَکُوۡنَ مَعَ السّٰجِدِیۡنَ ﴿۳۲﴾
Allah ney kaha : iblees ! tujhay kiya huwa kay tu sajda kernay walon mein shamil nahi huwa-?
(7) Surat No 17 : سورة بنی اسراءیل - Ayat No 61
وَ اِذۡ قُلۡنَا لِلۡمَلٰٓئِکَۃِ اسۡجُدُوۡا لِاٰدَمَ فَسَجَدُوۡۤا اِلَّاۤ اِبۡلِیۡسَ ؕ قَالَ ءَاَسۡجُدُ لِمَنۡ خَلَقۡتَ طِیۡنًا ﴿ۚ۶۱﴾
aur woh waqt yaad kero jab hum ney farishton say kaha tha kay Adam ko sajda kero . chunacheh unhon ney sajda kiya , lekin iblees ney nahi kiya . uss ney kaha kay : kiya mein uss ko sajda kerun jissay tu ney mitti say peda kiya hai-?
(8) Surat No 18 : سورة الكهف - Ayat No 50
وَ اِذۡ قُلۡنَا لِلۡمَلٰٓئِکَۃِ اسۡجُدُوۡا لِاٰدَمَ فَسَجَدُوۡۤا اِلَّاۤ اِبۡلِیۡسَ ؕ کَانَ مِنَ الۡجِنِّ فَفَسَقَ عَنۡ اَمۡرِ رَبِّہٖ ؕ اَفَتَتَّخِذُوۡنَہٗ وَ ذُرِّیَّتَہٗۤ اَوۡلِیَآءَ مِنۡ دُوۡنِیۡ وَ ہُمۡ لَکُمۡ عَدُوٌّ ؕ بِئۡسَ لِلظّٰلِمِیۡنَ بَدَلًا ﴿۵۰﴾
aur woh waqt yaad kero jab hum ney farishton say kaha tha kay : Adam kay aagay sajda kero . chunacheh sabb ney sajda kiya , siwaye iblees kay . woh jinnaat mein say tha , chunacheh uss ney apney rab kay hukum ki nafarmani ki . kiya phir bhi tum meray bajaye ussay aur uss ki zurriyat ko apna rakhwala banatay ho , halankay woh sabb tumharay dushman hain-? ( Allah taalaa ka ) kitna bura mutabadil hai jo zalimon ko mila hai !
(9) Surat No 20 : سورة طه - Ayat No 116
وَ اِذۡ قُلۡنَا لِلۡمَلٰٓئِکَۃِ اسۡجُدُوۡا لِاٰدَمَ فَسَجَدُوۡۤا اِلَّاۤ اِبۡلِیۡسَ ؕ اَبٰی ﴿۱۱۶﴾
yaad kero woh waqt jab hum ney farishton say kaha tha kay Adam ko sajda kero , chunacheh sabb ney sajda kiya , albatta iblees tha jiss ney inkar kiya .
(10) Surat No 26 : سورة الشعراء - Ayat No 95
وَ جُنُوۡدُ اِبۡلِیۡسَ اَجۡمَعُوۡنَ ﴿ؕ۹۵﴾
aur iblees kay saray lashkaron ko bhi .
(11) Surat No 34 : سورة سبأ - Ayat No 20
وَ لَقَدۡ صَدَّقَ عَلَیۡہِمۡ اِبۡلِیۡسُ ظَنَّہٗ فَاتَّبَعُوۡہُ اِلَّا فَرِیۡقًا مِّنَ الۡمُؤۡمِنِیۡنَ ﴿۲۰﴾
aur waqaee inn logon kay baaray mein iblees ney apna khayal durust paya , chunacheh yeh ussi kay peechay chal parray , siwaye uss giroh kay jo momin tha.
(12) Surat No 34 : سورة سبأ - Ayat No 21
وَ مَا کَانَ لَہٗ عَلَیۡہِمۡ مِّنۡ سُلۡطٰنٍ اِلَّا لِنَعۡلَمَ مَنۡ یُّؤۡمِنُ بِالۡاٰخِرَۃِ مِمَّنۡ ہُوَ مِنۡہَا فِیۡ شَکٍّ ؕ وَ رَبُّکَ عَلٰی کُلِّ شَیۡءٍ حَفِیۡظٌ ﴿٪۲۱﴾ 8
aur iblees ko unn per koi tasallut nahi tha , albatta hum ( ney uss ko behkaney ki salahiyat iss liye di thi kay ) hum yeh dekhna chahtay thay kay kon hai jo aakhirat per emaan lata hai , aur kon hai jo uss kay baaray mein shak mein parra huwa hai . aur tumhara perwerdigar her cheez per nigran hai.
(13) Surat No 38 : سورة ص - Ayat No 74
اِلَّاۤ اِبۡلِیۡسَ ؕ اِسۡتَکۡبَرَ وَ کَانَ مِنَ الۡکٰفِرِیۡنَ ﴿۷۴﴾
albatta iblees ney naa kiya , uss ney takabbur say kaam liya , aur kafiron mein shamil hogaya .
(14) Surat No 38 : سورة ص - Ayat No 75
قَالَ یٰۤاِبۡلِیۡسُ مَا مَنَعَکَ اَنۡ تَسۡجُدَ لِمَا خَلَقۡتُ بِیَدَیَّ ؕ اَسۡتَکۡبَرۡتَ اَمۡ کُنۡتَ مِنَ الۡعَالِیۡنَ ﴿۷۵﴾
Allah ney kaha : iblees ! jiss ko mein ney apney haathon say peda kiya , uss ko sajda kernay say tujhay kiss cheez ney roka hai-? kiya tu ney takabbur say kaam liya hai , ya tu koi boht oonchi hastiyon mein say hai ?
Poori Quran Shareef me Sirf 14 Martaba iblees ka Naam (isam / Name) Ke taur pe istemal hua hai....
No comments:
Post a Comment